Wednesday, December 29, 2004

World of Shayari

उठते हैं जब यह हाथ दुआ को 
रब से तेरे लिए ही फ़रियाद करते हैं 
तुम हमें भुला भी दो तो क्या 
हम तो तुम्हें हर पल याद करते हैं 
==================== 
Khuda Se Maine Dua Mangi, Dua Mein Apni Maut Mangi,
Khuda Ne Kaha Maut To Tujhe Mein De Sakta Hoon,
Magar Uska Kya Karu Jisne Dua Mein Teri Lambi Umar Mangi?
================
Phool Ki Tarah Haste Raho, To Hum Khush Hai,
Dil Kholkar Milte Raho To Hum Khush Hai,
Yeh Nahi Chahte Ki Har Roz Milo,
Kisi Din Yaad Karliya Karo, To Bhi Hum Khush Hai...
================
dil ki hasti bikhar gayi hoti

aur ruh ke zakhm bhar gaye hote
zindagi aap jaise doston ki amant hai
warna hum to kab ke mar gaye hote ================
jiski yaad mein hum sare jahan ko bhul gaye
suna hai wo aaj-kal hamara naam tak bhul gaye
kasam khayi thi jisane sath nibhane ki
yaaro aaj woh meri lash pe aana bhul gaye...
==================

Tumhare har Gham ko apna banaloonga,
Tumhe Palko ki chilman mein chupaloonga,
Tumhe Dil ki Dhadkan mein samaloonga,
Dekhlena ek din tumhe tumhi se churaloonga.

No comments: